Monday, 12 March 2012

Saraswati Vandana Mantra II

 Yaa Kundendu tushaara haara-dhavalaa, Yaa shubhra-vastra'avritaa

Yaa veena-vara-danda-manditakara, Yaa shweta padma'asana

Yaa brahma'achyuta shankara prabhritibhir Devai-sadaa Vanditaa

Saa Maam Paatu Saraswati Bhagavatee Nihshesha jaadya'apahaa.

Shuklaam Brahmavichaara Saara paramaam Aadhyaam Jagadvyapinim,

Veena Pustaka Dhaarineem Abhayadaam Jaadya'andhakaara'apahaam

Haste Sphaatika Maalikam Vidadhateem Padmasane Sansthitaam

Vande taam Parmeshwareem Bhagavateem Buddhipradaam Shardam.

Translation

She, who is as fair as the Kunda flower,the moon, and a garland of Tushar flowers;

She, whose hands are adorned by the excellent veena, and whose seat is the pure white lotus;

She, who is constantly praised and glorified by Brahma, Vishnu, Mahesh and other divinities;

O Mother Goddess, remove my mental inertia!
 
Saraswati Vandana Mantra

या कुंदेंदु तुषारहार धवला, या शुभ्र वस्त्रावृता |

या वीणावर दण्डमंडितकरा, या श्वेतपद्मासना ||

या ब्रह्माच्युतशंकरप्रभ्रृतिभिर्देवै: सदा वन्दिता |

सा मां पातु सरस्वती भगवती निःशेष जाड्यापहा ||

शुक्लां ब्रह्मविचार सार परमां आद्यां जगद्व्यापिनीं

वीणा पुस्तक धारिणीं अभयदां जाड्यान्धाकारापाहां|

हस्ते स्फाटिक मालीकां विदधतीं पद्मासने संस्थितां

वन्दे तां परमेश्वरीं भगवतीं बुद्धि प्रदां शारदां||
 
जो कुंद फूल, चंद्रमा और वर्फ के हार के समान श्वेत हैं, जो शुभ्र वस्त्र धारण करती हैं|

जिनके हाथ, श्रेष्ठ वीणा से सुशोभित हैं, जो श्वेत कमल पर आसन ग्रहण करती हैं||

ब्रह्मा, विष्णु और महेश आदिदेव, जिनकी सदैव स्तुति करते हैं|

हे माँ भगवती सरस्वती, आप मेरी सारी (मानसिक) जड़ता को हरें||

या देवी सर्वभूतेषु विद्यारूपेण संस्थिता, नमस्तस्यै नमस्तस्यै नमस्तस्यै नमो नमः ||

MADHUSHALA BY - HARIVANSH RAI BACHHAN

  madira meiN jaane ko ghar se chaltaa hai peenewaala
  kis path se jaaooN asmanjas meiN hai wo bhola bhaala
  alag alag path batalaathi sab paR maiN ye bataata hooN
  raah pakaD tu ek chalaa-chal paa jaayega madhushaala

 --------------------------------------------------------------------------------

  sun kal-kal chal-chal madhu-ghaT se girti pyalOn meiN haala
  sun run Jhun-Jhun chal witran karti madhusa ki baala
  bas aa pahunche door nahiN kuch chaar kadam aur chalna hai
  chahak rahe sun peene waale mehak rahi le madhushaala

 --------------------------------------------------------------------------------
 
  naal sura kee dhaar lapaT see keh na dena ise jwaaLa
  madira hai math isko keh dena uRR ka chaala
  dard nasha hai is madira ka wigat smritiyaN saaqi haiN
  peeDa meiN anand jise ho aaye meri madhushaala

 --------------------------------------------------------------------------------

  dharm-grandh sab jala chuki hai jiske antar kee jwaala
  mandir masjid girje sab ko toD chuka jo matwaala
  panDit momin paadriyoN ke fandoN ko jo kaat chuka
  kar sakti hai aaj usee ka swaagat meri madhushaala

 --------------------------------------------------------------------------------
 
  laalayeet adhRoN se jisne haaye nahiN choomi haala
  harshit kampit kar se jisne haay madhu ka chooaa pyaala
  haath pakaD kar lajjit saaqi ko paas nahiN jisne kheencha
  wyarth sukha Daali jeewan kee usne mahdumay madhushaala

 --------------------------------------------------------------------------------
 
  bane pujaari premi saaqi ganga jal paawan haala
  rahe ferta awirat gati se madhu ke pyaaloN kee maala
  aur leeye jaa aur peeye jaa isi mantr ka jaap keeye jaa
  maiN shiv ki pratima ban baiThooN mandir ho ye madhushaala

 --------------------------------------------------------------------------------

  ek baras meiN ek baar hee jagti holi kee jwaala
  ek baar hee lagti baaji jalti deepoN kee maala
  duniya waaloN kintu kisi din aa madiraalay meiN dekho
  din meiN holi raat diwaali roz manaati madhushaala

 --------------------------------------------------------------------------------

  adharon par ho koee bhi ras jiwha par lagti haalaa
  han jag ho koee haathon mein lagta rakkha hae pyaalaa
  har surat saaqi ki surat mein parivartit ho jaati
  aankhon ke aage ho kuchh bhi aankhon mein hae Madhushaalaa.

mere shaV par wah roYe ho jiske aaNsoo meiN haala
  aaH bhare wah jo ho surbhit madeera peekar matwaala
  de muJhko wo kaandha jinke pad-mad dag-mag hoNte ho
  aur jalooN uss Thaur jahaN par kabhi rahee ho madhushaala

 --------------------------------------------------------------------------------
  aur chitha par jaaye unDela paatR na ghRith ka par pyaala
  GhanT bandhe angoor latha meiN madhya na jal ho par haala
  praan-priye yadi SHraadH karO tum mera to aise karna
  peene-waaloN ko bulwa kar khulwa dena madhushaala

 --------------------------------------------------------------------------------
  naam agar pooche koi to kehna bas peene-waala
  kaam garal na aur dhaalna sab ke madiroN ka pyaala
  jaati priYe pooche yadi koi keh dena deewanoN kee
  dharM batana pyaaloN ki le maala japna madhushaala

 --------------------------------------------------------------------------------
  pitR paKsh meiN putR uThana araGYan na kar meiN par pyaala
  baiTh kahiN par jaana ganga sagar meiN bharkar haala
  kisi jagaH kee miTTi bheege tRipti muJhe mil jaaYegee
  darpan arpan karna muJhko paDh paDh karke "madhushaala"

Sunday, 11 March 2012

HINDI SAPTAH

HINDI SAPTAH
Hindi saptah joron se manaya gaya
Hindi ke upyog par bahas chhirwaya gaya
Kayee tarah ke pratiyogita karwaya gaya
Adhikariyon ke aadesh parsab kuchh hindi me likhwaya gaya
Pure saptah ka aadesh hindi me chhapwaya gaya
Saprtahant me puruskar vitran karwaya gaya
Vijeta ne atithi se haanth milaya , khul kar muskuraya
Atithi ne kaha- well-done dear try to improve it
Vijeta ne kaha – sir I will write in hindi,
I will type in hindi , I will speak in hindi
Let the next year come ,I will definitely well done.
  (Santosh kumar Choudhary)

KOI MASIHA

AYEGA KOI MASIHA JO SABKO MILAYEGA ,
DEKAR GYAN KI AANKHEN , MASTI KA ZAM PILAYEGA

THE DOOR JISSE HAME USI SE MILAYA HAI,
THA JO AGYAN KA PARDA AANKHON PAR USE UTHAYA HAI.
AYEGA KOI MASIHA JO SABKO MILAYEGA ,
DEKAR GYAN KI AANKHEN , MASTI KA ZAM PILAYEGA.

SOCHA NA THA KABHI AMRIT KOI PILAYEGA,
KHOL SAHASRA DAL KAMAL AMRIT BARSAYEGA,
AYEGA KOI MASIHA JO SABKO MILAYEGA ,
DEKAR GYAN KI AANKHEN , MASTI KA ZAM PILAYEGA.

SADIYON BEET JAYEGA NAAM PHIR BHI NA YAAD AAYEGA,
JAB HOGA KRIPA UNKA NAAM SWANSON ME SAMAYEGA,
AYEGA KOI MASIHA JO SABKO MILAYEGA ,
DEKAR GYAN KI AANKHEN , MASTI KA ZAM PILAYEGA.

DEKAR GYAN KI AANKHEN MASTI KA ZAM PILAYEGA,
APNE HI KARM KE PACHHTAVON PAR RULAYEGA,
AYEGA KOI MASIHA JO SABKO MILAYEGA ,
DEKAR GYAN KI AANKHEN , MASTI KA ZAM PILAYEGA.

SADIYON THA ANDHERA GHAR ME KOI BHI GHABRAYEGA,
JALEGA GYAN KI BATI GHAR ROSHNI SE NAHAYEGA,
AYEGA KOI MASIHA JO SABKO MILAYEGA ,
DEKAR GYAN KI AANKHEN , MASTI KA ZAM PILAYEGA.
NA JAYEGA KAWA KASHI , NA AB UDIK NAHAYEGA ,
INGLA, PINGLA, SUSMANA, SANGAM PAR ROZ NAHAYEGA,
AYEGA KOI MASIHA JO SABKO MILAYEGA ,
DEKAR GYAN KI AANKHEN , MASTI KA ZAM PILAYEGA.
  ( SANTOSH KUMAR CHOUDHARY )
  DATED :- 13/09/2011

NETAJI
Netaji the khade chowk par liye hanth me mike
De rahe the sikh jawano ko tumko banayenge nayak
Kabhi nahin tum darna
Apni hi party ke khatir jina aur tum marna
Agar jeet gaye election hum
Tumko mukhiya banwa denge
Gaw k e pragati ke naam par, das bees lakh dilwa denge
Khulwa denge daru ki bhatthi , aur dukan sarabon ki
Ghosit krunga rangdar tumhen ,apne haat bazaron ki
Rangdari ki tax wasul kart um jeewan yapan karna
Zab ayega mausam vote ka ,phir neta tum banna.
[Santosh Kumar Choudhary ] 15/08/1996

Amrit banne aa rahi hun

Amrit banne aa rahi hun
Maut ne mujhse kaha mai tujhko lene aa rahi hun,
Zindgi boli daro mat mai abhi muskura rahi hun.
Mai liye himmat hirday me lakshya path par badh chala,
Karm ka hathiyar liye muskilon se lad chala,
Har ne mujhse kaha mai anshru ban kar aa rahi hun,
Jeet yun boli daro mat mai muskan lekar aa rahi hun,
Maut ne mujhse kaha mai tujhko lene aa rahi hun,
Zindgi boli daro mat mai tujhko lene aa rahi hun.
Insaniyat aansu bahaye haiwaniyat khusiyan manaye,
Admi se admi ko ab admi hi ladaye.
Kalima ne bhi mujhse kaha andhkar ban kar aa rahi hun,
Purnima boli daro mat chandni mai laa rahi hun.
Mulya jane kab kho gaye admi nanga huwa hai,
Dhan batore betahasa , mann se nanga huwa hai.
Deh ne mujhse kaha , mai mitti banne jaa rahi hun,
Atma boli daro mat amrit banne aa rahi hun.
Santosh Kumar Choudhary
Date :- 12/09/2011